siyah-raat mein TimTimate sitaron ke niche
KHaroshan samundar ki maujen tujhe DhunDhti hain
KHaroshan hawa ki sadaon mein teri sada hai
mera dil tujhe DhunDhta hai
siyah-raat ashkon ki shabnam mein soi hui hai
har ek pal har ek lamha mazi ka
zinda hai maujud mein jagta hai
magar tera paikar
tah-e-KHak andheron ke maman mein soya hua hai
mera dil ki matam-gar-e-raftagan hai
tujhe DhunDhta hai
main aasuda-e-reg-e-KHamosh
us raat ki jalti aankhon ko dekhun
siyah-raat mein TimTimate hue
un sitaron se puchhun
KHaroshan samundar mein Duba hua chand
kisi ajnabi sar zamin par tabassum-kunan hai
nuqush-e-kaf-e-pa ki manzil kahan hai?
yam-e-zindagi sail-dar-sail bahta hua
ek lamhe ko ruk kar palaT kar na dekhe
siyah-raat mein TimTimate sitaron ke niche
faqat ek shab be-sada jagti hai
shab-e-be-sada puchhti hai
bipharti hui mauj-e-dariya kidhar se chali thi?
kidhar ko chali hai?
mera dil ki matam-gar-e-raftagan hai
kise DhunDhta hai

Nazm
Nauha
Mahmood Ayaz