tamam umr ke sud o ziyan ka bar liye?
har inqilab-e-zamana se munh chhupae hue
hayat o marg ki sarhad pe nim-KHwabida
main muntazir tha
masarrat ki koi dhundli kiran
zaman makan se pare ajnabi jaziron se
dam-e-sahar mujhe KHwabon mein DhunDti aae
fishaar-e-waqt ki sarhad se dur le jae
khuli jo aankh
tulu-e-sahar ne hans ke kaha
hisar-e-waqt se aage koi maqam nahin
samajh sako to zaman o makan ki qaid nahin
samajh sako
to yahi zat be-karan bhi hai
Nazm
Nauha
Mahmood Ayaz