main tha aawara-o-barjasta-KHiram
auraq-e-bandagi us ki panah
nama-e-ishq tha rishton ka jawaz
barq-rau mein bhi tha kuchh wo bhi raha
ishq-e-ehsas-e-junun ke aasar
kuchh ajab tarah bane naqsh-o-nigar
fart-e-jazbaat se
is darja rahe hum larzan
tisri quwwat-e-waswas kahan se aai
aur
phir TuT gaya
larza-bar-andam talluq ka pul
sabz armanon pe
wo os paDi mat puchho
ab to wo
sahn-e-taKHayyul bhi hai muddat se udas
gahe gahe
kisi pahlu-e-falak mein jaanan
kuchh chaman-zar mahak uThte hain
aur
aati hai sada-e-bulbul
ishq wo os ka qatra hai
jis ke paDte hi
TuT jati hai surahi gul ki
Nazm
Nauha-e-jaan
Khursheed Akbar