wahi baadalon ke barasne ke din the
magar wo na barse
mubarak ho shura ki sanat-gari ko
mashaqqat se bijon ko tayyar kar ke
ugai thi sahra mein chuhon ki kheti
jo aahista aahista baDhte rahe
phir khaDe ho gae apni dum ke sahaare
katarne lage aise pyasi zabanon ke nauhe jo mashkon ke
andar amanat paDe the
KHabasat ne ugle the manhus bhuton ke lashkar
ki chuhon ki imdad karte hue nur ki bastiyon mein wo daKHil hue
jo uDate the gard o ghubar apne sar par
phaTe tabal ka shor girta tha dil par
bhayanak sadaon mein bazu uTha kar
chalane lage raqs mein tez panw
taffun mein lipTe hue sans chhoDe
baDhe kichkachate hue dant apne hazaron taraf se
farishton ne dekha to ghabra gae aur KHasta pyalon ko reti se bhar kar
sukaDne lage apne KHemon ki jaanib
wo reti ke zarre jinhen aab suraj ki kirnon ne di thi
magar wo na barse
wahi baadalon ke barasne ke din the
Nazm
Nauha
Ali Akbar Natiq