jalal-e-atish-o-barq-o-sahab paida kar
ajal bhi kanp uThe wo shabab paida kar
tere KHiram mein hai zalzalon ka raaz nihan
har ek gam par ek inqalab paida kar
sada-e-tisha-e-mazdur hai tera naghma
tu sang-o-KHisht se chang-o-rubab paida kar
bahut latif hai ai dost tegh ka bosa
yahi hai jaan-e-jahan is mein aab paida kar
tere qadam pe nazar aae mahfil-e-anjum
wo bankpan wo achhuta shabab paida kar
tera shabab amanat hai sari duniya ki
tu KHar-zar-e-jahan mein gulab paida kar
sukun-e-KHab hai be-dast-o-pa zaifi ka
tu iztirab hai KHud iztirab paida kar
na dekh zohd ki tu ismat-e-gunah-alud
gunah mein fitrat-e-ismat-maab paida kar
tere jilau mein nai jannaten nae dozaKH
nai jazaen anokhe azab paida kar
sharab khinchi hai sab ne gharib ke KHun se
tu ab amir ke KHun se sharab paida kar
gira de qasr-e-tamaddun ki ek fareb hai ye
uTha de rasm-e-mohabbat azab paida kar
jo ho sake hamein pamal kar ke aage baDh
jo ho sake to hamara jawab paida kar
bahe zamin pe jo mera lahu to gham mat kar
isi zamin se mahakte gulab paida kar
tu inqalab ki aamad ka intizar na kar
jo ho sake to abhi inqalab paida kar
Nazm
Nau-jawan se
Asrar-ul-Haq Majaz