mujhe naron se raghbat hai
wo mere KHun ki hiddat ka bais hain
wo meri zindagi ka juzw-e-la-yanfak
hazaron sal se mere iradon hauslon aur walwalon ki
dastanon mein numayan hain
wo meri zat ke aaina-KHane mein musalsal raqs karte hain
zamane meri yaadon se phisal kar samne aae
to main ek dasht-e-imkan se nikal kar muskura uTTha
mere atraf mein rangon ki barish thi
hawaon mein KHushi tahlil ho kar rahat-e-jaan thi
KHunuk pani ke chashme dudh ki nahren
meri KHwahish pe bahte the
sabhi asmar mere ek ishaare par meri jholi mein aa girte
har ek jaanib hasin phulon ke taKHte the
KHiraman saaton ki be-karani mera hasil thi
KHiraman saaten lekin mujhe kab ras aai hain
sukun la-hasili ka be-natija zindagi ka bab-e-awwal hai
natija chahiye
har shai ka ek aaghaz ek anjam hota hai
usi lamhe meri aankhon pe ek kaunda sa lapka tha
usi lamhe zaban par ek nara tha baghawat ka
baghawat ka ki apni zat ke elan karne ka
Nazm
Natija chahiye har shai ka
Fayyaz tahseen