aur phir kuchh yun hua
lafz ki takrar se
murtaish izhaar se
uqda-e-dushwar se
shairi ukta gai
shairi ki be-karan mauj-e-taKHayyul yun uThi
tangna-e-nazm-o-naghma gum hui
imtiyaz-e-bahr-o-bar miTta gaya
ehtimam-e-zauq-tar jata raha
chashma-e-wahm-o-guman
phuTta hai wadi-e-ijz-e-bayaan ke wast se
phailti hai KHirgi
lamha-e-makus hai
aab-ju-e-KHwab hai paiham rawan
jhil surat harf sakit hain magar
jhilmilate hain maani lafz ke talab mein
baat gahri hai bahut
saz bhi KHamosh hai
gunjalak sanjog se
maujib-e-na-guftani
qabil-e-izhaar hai
han magar wo sheriyat
dur ek layaniyat ke be-aman patal mein
barsar-e-paikar hai
Nazm
Nasri nazm ki manzum katha
Salman Sarwat