wo sham
jab saDken gul-e-surKH se bhari huin thin
aiwan-e-insaf par andhera utar raha tha
main ne
gardan aur kanon ko coat ke lambe collar mein chhupa liya
taki
baqi-manda lahu ki gardish chehre tak na aa sake
ababilen
apne maskanon se diwana-war nikal aain
aur
gumbadon mein bolne wale kabutaron ne chup-chap
apni chonchen
KHamosh talab mein Dubo din
wo sham
jab khiDkiyon mein sab chehre ek jaise nazar aane lagen
Nazm
Nashr mukarrar
Zahid Masood