narm aawazon se ek nili KHamoshi hai rawan
yak-ba-yak uD gae
wo kale parind
jin ke sayon se shuaon mein thi ek be-KHwabi
ab wahi KHufta-mizaji wahi be-harf KHumar
narm aawazon ki thapki se
ye sab hosh o hawas
apne izhaar ke bahte hue dariya ki jagah
barf ki jhil bane
chiKH jo naghma-e-azad si lahraati thi
naghme mein gharq hui
wasl ki shab mein wahi shama bani
thartharaati hi rahi
honT jo tegha-e-ejaz pe chaspan the wo sab
ek sahafi ka qalam ban ke rahe be-mani
narm aawazon ke sailab mein ai kash kabhi
hadsa ho koi kashti kisi sahil se kahin Takra jae
phailti raat kabhi tharra jae
Nazm
Narm aawazon ke bich
Aslam Emadi