اردو हिंदी
Naqqad | Shaahi Shayari
naqqad

Nazm

Naqqad

Josh Malihabadi

;

rahm ai naqqad-e-fan ye kya sitam karta hai tu
koi nok-e-KHar se chhuta hai nabz-e-rang-o-bu

shaeri aur mantaqi bahsen ye kaisa qatl-e-am
bursh-e-miqraaz ka deta hai zulfon ko payam

kyun uTha hai jins-e-shaer ke parakhne ke liye
kya shamim-e-sumbul-o-nasrin hai chakhne ke liye

ai adab na-ashna ye bhi nahin tujh ko KHayal
nang hai bazm-e-suKHan mein madrase ki qil-o-qal

mantaqi kanTe pe rakhta hai kalam-e-dil-pazir
kash is nukte ko samjhe teri tab-e-harf-gir

yani ek lai se lab-e-naqid ko khulna chahiye
pankhuDi par qatra-e-shabnam ko tulna chahiye

sher-fahmi ke liye hain jo sharait be-KHabar
soch tu pura utarta bhi hai us mear par

jalte dekha hai kabhi hasti ke dil ka tu ne dagh
aanch se jis ki ghiza pata hai shaer ka dimagh

dil se apne puchh o zindani-e-ilm-e-kitab
husn-e-qudarat ko bhi dekha hai bar-afganda-naqab

tu pata asrar-e-hasti ka lagata hai kabhi
aalam-e-mahsus se bahar bhi jata hai kabhi

kya wahan bhi uD ke pahuncha hai kabhi ai nukta-chin
kanpta hai jis faza mein shahpar ruh-ul-amin

KHamushi ki naghma-rezi par bhi sar dhunta hai tu
qalb-e-fitrat ke dhaDakne ki sada sunta hai tu

ab buton ki bazm mein tu bhi hua hai baryab
KHak ko parchhaiyan jin ki banati hain gulab

jo tabassum chhin lete hain shab-e-mahtab se
jin ki barnai jagati hai dilon ko KHwab se

sach bata tu bhi hai kya ai kushta-e-sad-hirs-o-az
raaz-dan-e-kakul-e-shab-rang o chashm-e-nim-baz

teri nabzon mein bhi machli hai kabhi bijli ki rau
soz-e-gham se tera dil bhi kya kabhi deta hai lau

sach bata ai aashiq-e-derina-e-fikr-e-maash
zahr mein tiryak ke unsur ki bhi ki hai talash

mujh se aankhen to mila ai dushman-e-soz-o-gudaz
tujh pe kya azdad ki tauhid ka ifsha hai raaz

teri raaton ki siyahi mein bhi ai zulmat-maab
kya kabhi tale hua hai muskura kar aaftab

tu gaya bhi hai nigar-e-gham ki mahmil ke qarib
aanch si mahsus hoti hi kabhi dil ke qarib

taur-e-mani par bhi ai na-faham chaDh sakta hai tu
kya musannif ki kitab-e-dil bhi paDh sakta hai tu

ye nahin to pher le aankhen ye jalwa aur hai
teri duniya aur hai shaer ki duniya aur hai

sher ki tahlil se pahle meri taqrir sun
KHud zaban-e-sher se aa sher ki tafsir sun

dil mein jab ashaar ki hoti hai barish be-shumar
nutq par bunden Tapak paDti hain kuchh be-iKHtiyar

Dhaal leti hai jinhen shaer ki tarkib-e-adab
Dhal ke go wo gauhar-e-ghaltan ka pati hain laqab

aur hoti hain tajalli-baKHsh taj-e-zar-fishan
phir bhi wo shaer ki nazron mein hain KHali sipiyan

jin ke asrar-e-daraKHshan ruh ki mahfil mein hain
sipiyan hain nutq ki maujon pe moti dil mein hain

shaeri ka KHanaman hai nutq ka luTa hua
us ka shisha hai zaban ki Thes se TuTa hua

chhae rahte hain jo shaer ke dil-e-sarshaar par
TuT kar aate hain wo naghme lab-e-guftar par

jagte rahte hain dil ki mahfil-e-KHamosh mein
band kar lete hain aankhen nutq ke aaghosh mein

log jin ki jaan-gudazi se hain dil pakDe hue
khokhle naghme hain wo auzan mein jakDe hue

sher ho jata hai sirf ek jumbish-e-lab se niDhaal
sans ki garmi se paD jata hai is shishe mein baal

jam mein aate hi uD jati hai shaer ki sharab
TuT jata hai kinare aate aate ye hubab

is se baDh kar aur ho sakti hai kya hairat ki baat
sher ko samjha agar shaer ki tu ne kaenat

sher kiya jazb-e-darun ka ek naqsh-e-na-tamam
mushtaba sa ek ishaara ek mubham sa kalam

kaif mein ek laghzish-e-pa click-e-gauhar-bar ki
iztirari ek jumbish si lab-e-guftar ki

ek saut-e-KHasta-o-mauhum saz-e-zauq ki
murtaish si ek aawaz intiha-e-shauq ki

be-haqiqat nai ke andar zamzama daud ka
aariz-e-mahdud par ek aks la-mahdud ka

'sher' kya aql o junun ki mushtarak bazm-e-jamal
'sher' kya hai ishq o hikmat ka maqam-e-ittisal

zulmat-e-ibham mein parchhain tafsilat ki
pech o KHam khate bagule mein chamak zarraat ki

ju-e-qudarat ki rawani dasht-e-masnuat mein
TuTna rangin sitare ka andheri raat mein

sher kya hai nim bedari mein bahna mauj ka
barg-e-gul par nind mein shabnam ke girne ki sada

tar-zabani aur KHamoshi ki mubham guftugu
lafz o mani mein tawazun ki nahufta aarzu

baadalon se mah-e-nau ki ek uchaTti si ziya
jhankna qatre ke rauzan se urus-e-bahr ka

mar ke bhi tu shaeri ka bhed pa sakta nahin
aql mein ye masala nazuk hai aa sakta nahin

tu samajhta tha jo kahna chahiye tha kah gaya
puchh shaer se ki wo kya kah saka kya rah gaya

kaun samjhe sher ye kaise hain aur kaise nahin
dil samajhta hai ki jaise dil mein the waise nahin