اردو हिंदी
Naqli phul | Shaahi Shayari
naqli phul

Nazm

Naqli phul

Muneebur Rahman

;

main ne jab pahle-pahal dekha tha
ye mujhe kitne bhale lagte the

tum ne gul-dan mein rakkha tha inhen
thi mere kamre ki zinat in se

aur ab thak gain aankhen meri
dekhte dekhte surat in ki

ye mahakte hain, na kumhlate hain
din inhen chhu ke nikal jate hain

kash mausam ki amal-dari mein
ye bhi paband-e-taghayyur hote

jab ye khilte to koi chun chun kar
gundhta in ki laDi juDe mein

aur jab un pe KHizan aa jati
phenk deta main inhen kuDe mein