kitni raushan kyun na ho 'azad' aaKHir ek din
sham-e-hasti maut ke jhonkon se gul ho jaegi
jaise gahware mein so jata hai tifl-e-shir-KHwar
zist aaghosh-e-ajal mein is tarah so jaegi
mah o aKHtar hain KHajil jis se wo chingari zarur
ek na ek din aalam-e-zulmat mein kho jaegi
lekin is zulmat-kade mein ek nur aisa bhi hai
gardish-e-ayyam jis ke pas aa sakti nahin
ek aisa bhi hai lauh-e-waqt par naqsh-e-dawam
koi shai bhi jis ko aalam se miTa sakti nahin
maut jhonke le ke uTThe ya bagule le ke aae
azmat-e-kirdar ka shoala bujha sakti nahin
Nazm
Napoleon ke mazar par
Jagan Nath Azad