shahsawar
nanha-munna shahsawar
istada hai
KHamida pusht par meri
jun-hi jhukta hun
wo targhib deta hai
mujhe chalne ki
aawazon ki sargam se
main chalta hun
main wamanda qadam chalta hun
wo mahmez ki jumbish se kahta hai ki dauDo
aur dauDo, tez-tar, sarpaT chalo
baad-e-naghma-kar se baaten karo
us ka main raKHsh-e-raza
tez-tar karta hun raftar-e-KHiram
mujh ko pahunchana hai aaj
us ko rangon titliyon ke des mein
jadu-nagar mein
mere sae ka bhi ab shayad jahan
muntazir koi nahin
muntazir hain us ke lekin, mere nanhe dost ke
dew-qamat sabz warafta-waqar
dur tak sargoshiyan karte hue ashjar
raqs-e-barg-o-bar
ja raha hai KHwab ki raftar se
diwana-war
mera nanha shahsawar
Nazm
Nanha shahsawar
Balraj Komal