mere ghar ki dewi ke baala-e-sina
khila hai mohabbat ka taza kanwal
daraKHshanda jaise sar-e-sham zohra
ufuq par samundar ke aae nikal
wo hathon pe apne khilati hai us ko
wo pairon pe apne jhulati hai us ko
wo rakhti hai aankhon mein putli bana ke
wo sote mein rota jo uTh baiThta hai
to boson se moti se aansu wo ponchhe
wo sau jaan se har ada par fida hai
wo hai lal donon jahan jis pe sadqe
ye nannhi si jaan aur ghasib ke dawe
mera taKHt-e-zarrin hai tere hawale
tere dast-o-bazu farishton ke daste
tu hai wo zabardast jite pe jite
Nazm
Nanha ghasib
Azmatullah Khan