waqt-e-sahar, KHamosh dhundlaka nach raha hai sehn-e-jahan mein
tabinda, pur-nur sitare, jagmag jagmag karte karte
haar chuke hain apni himmat, Dub chuke hain bahr-e-falak mein
tariki ke tufanon mein apni kashti khete khete
lekin ek ba-himmat tara ab bhi aankhen khol raha hai
ab bhi jahan ko dekh raha hai apni mastana nazron se
jaise kisi talab mein lachke koi shagufta phul kanwal ka
jaise bele ki shaKHon mein dur se ek shagufa chamke
waqt-e-sahr, KHamosh dhundlaka ek sitara kanp raha hai
jaise koi bosida kashti tufanon mein Dol rahi ho
koi diya raushan ho jaise qabristan mein taq-e-lahad par
jis ki lau anjam ke Dar se ghaTti ho aur tharraati ho
waqt-e-sahar KHamosh dhundlaka ek sitara kanp raha hai
ruKH par jis ke khel raha hai ab bhi tabassum halka halka
wo aaya ek nur ka dhaara jalwon ki bunden barsata
jagmag jagmag karta karta Dub gaya masum sitara

Nazm
Najm-e-sahar
Rifat Sarosh