dukhte hue sinon ki KHushbu ke hathon mein
un jalte KHwabon ke lahraate koDe hain
jinhen wo ek gahnae chand ki nangi kamar pe barsati rahti hai
tirgi baDhti jati hai
aur hamara chand abhi tak aisi kohna-sal haweli ka qaidi hai
jise hawa aur baadal ne tamir kiya hai
jis ki gili diwaron par manDhi hui belon mein
aisi khopDiyan khilti hain
jin ki aankhon ke KHali halqon mein mazi haal aur mustaqbil ke
gaD-maD rangon ke be-nur dhundalke jame hue hain
tum hi batao jab shaKHon se
faKHati nile phulon ki bajae
khopDiyan phuTen
subh-e-bahaar ka suraj un se aankh mila kar kaise zinda rah sakta hai
isi liye to is viran haweli ke aangan mein KHizan ke naghme
zinda insanon ke nauhe ban kar gunjte hain
nam-alud faza ke nadida sine par
sabr ki sil ki tarah ruke hue barfile suraj
sham ki ukhDi hui chaukhaT par
apne sar ghuTnon mein chhupa kar sochte hain
kabhi to sadiyon ki aawargiyon ka bojh uThae koi musafir
ism-e-rihai ko zer-e-lab dohraate hue
is be-rang haweli ke darwaze par
wo dastak dene aaega
khul kar barish barsegi aur chand riha ho jaega
Nazm
Najat
Jameel ur Rahman