sahar ka waqt hai baiTha hun main phulon ki mahfil mein
talatum KHez hai mauj-tarannum qulzum dil mein
jhalakta hai kisi ka husn firdaus-e-nazar ban kar
kisi ke ashk sabze par machalte hain guhar ban kar
koi aawaz deta hai mujhe bulbul ke naghmon mein
uData hai koi meri hansi chhup chhup ke phulon mein
kisi ki aah-e-sozan ka dhuan gardun pe raqsan hai
kisi ka KHun-e-dil rang-e-shafaq mein jalwa-afshan hai
KHamoshi ban ke sar-ta-pa koi baiTha hai sausan mein
suwaida ban ke pinhan hai koi lale ke daman mein
koi shaKHon mein chhup kar mere aage sar jhukata hai
mujhe apni taraf shayad ishaaron se bulata hai
koi meri taraf nargis ki mast aankhon se takta hai
main kya jaanun wo in pardon mein kya kuchh dekh sakta hai
koi zer-e-shajar sayon ki pariyon ko nachata hai
hua hai ya koi dhime suron mein git gata hai
koi koyal ki kuku mein ye aahista se kahta hai
tujhe jis ki tamanna hai wo tere dil mein rahta hai
gharaz har chiz mein hai us ke jalwon ki farawani
ayan hai zarre zarre se usi ke ruKH ki tabani

Nazm
Nairang-e-tasawwur
Takht Singh