ye chaman-zar ye KHush-rang bahaaron ka jahan
zindagi kitni dil-awez-o-dil-ara hai yahan
champai dhup mein har zarra hai suraj ki kiran
chandni raat mein har phul hai raushan raushan
nur hi nur zamin se hai falak tak raqsan
zindagi kitni dil-awez-o-dil-ara hai yahan
wadi-e-gang-o-jaman jannat-e-nazara hai
sar-zamin apni zar-o-sim ka gahwara hai
apne dariyaon ki har mauj mein bijli hai rawan
zindagi kitni dil-awez-o-dil-ara hai yahan
walwale dil mein to aankhon mein umangen raushan
hain sabhi chehre yahan husn-e-amal ke darpan
azmat mehnat-o-isar jabinon se ayan
zindagi kitni dil-awez-o-dil-ara hai yahan
aashti amn mohabbat ke parastar sabhi
jazba-e-mehr-o-mohabbat se hain sarshaar sabhi
sajhe tyauhaar hain holi ho ki id-e-qurban
zindagi kitni dil-awez-o-dil-ara hai yahan
tarjuman-e-dil-e-jamhur adib-o-fankar
in ke afkar tawana hain taKHayyul bedar
nikhra nikhra nai saj-dhaj ka hai andaz-e-bayan
zindagi kitni dil-awez-o-dil-ara hai yahan
Nazm
Nai subh
Sahir Hoshiyarpuri