umr us gupha mein reng aai hai jahan
koi KHar koi kankari nahin
sondhi sondhi gili gili bas hai
KHuda ki narm narm chhanw hai
maut ki miThas hai
KHuda ki narm narm chhanw hai
hazar bar laD chuka hun
ek ek KHwab ke liye
hamare darmiyan jang ho chuki hai
aaj jab mere liye
sulh ki ghaDi hai
phir kashakash-e-hayat ka
naya sabab khaDa na kar
meri aankh dekhne ka har azab sah chuki hai
mujh ko mat dikha
mere chahete sathiyon ke qafile
jo faraaz-e-zindagi ki har samt ja rahe the
sang-bariyon ki zad mein hain
mere kan har sada ke zaKHm kha ke pak chuke hain
mujh ko mat suna
mere baad aane walon ke dukhon ki dastan mat suna
aaj jab mere liye
sulh ki ghaDi hai
sab dukhon ki dhaar kund ho chuki hai
sare sanp bichchhuon ka zahr mar chuka hai
KHwab-e-afrin hai
nind aa rahi hai mujh ko mat jaga
mujh ko mat dikha
mujh ko mat suna
Nazm
Nai nasl
Qazi Saleem