dil-e-majbur tu mujh ko kisi aisi jagah le chal
jahan mahbub mahbuba se aazadana milta ho
kisi ka narm-o-nazuk hath apne hath mein le kar
nikal sakta ho be-khaTke koi sair-e-gulistan ko
nigahon ke jahan pahre na hon dil ke dhaDakne par
jahan chhini na jati ho KHushi ahl-e-mohabbat ki
jahan arman bhare dil KHun ke aansu na rote hon
jahan rondi na jati ho KHushi ahl-e-mohabbat ki
jahan jazbaat ahl-e-dil ke Thukrae na jate hon
jahan baghi na kahta ho koi KHuddar insan ko
jahan barsae jate hon na kuDe zehn-e-insan par
KHayalon ko jahan zanjir pahnai na jati ho
kahan tak ai dil-e-nadan qayam aise gulistan mein
jahan bahta ho KHun-e-garm-e-insan shah-rahon par
darindon ki jahan chandi ho zalim dandanate hon
jhapaT paDte hon shahin jis jagah kamzor chiDiyon par
dil-e-majbur tu mujh ko kisi aisi jagah le chal
jahan mahbub mahbuba se aazadana milta ho
Nazm
Nai duniya
Rajendra Nath Rahbar