kya rang mere shahr ka ganga-jamani hai
dehli nai ujDi hui dehli mein bani hai
qabron ka pata hai na mazaron ka Thikana
ye shahr ki tamir hai ya gor-kani hai
arbab-e-mashahir ka lene ke liye nam
kuchh daur-e-guzishta ki bhi tariKH chhani hai
'irwin' ka kahin but to cliwe ki kahin street
maidan mein sabze se bahaar-e-chamani hai
rahte hain yahan shahi dafatir ke mulazim
jin ko na kuchh ehsas-e-gharibul-watani hai
aaina-e-KHurshid ko bhi kaT kar rakh de
jo KHak ka zarra hai wo hire ki kani hai
kya kahte hain wo bekas-o-nachaar ki jin ko
is shahr ke basne se gham-e-be-watani hai
kheti jo nahin bhik pe hai in ka guzara
hathon mein hi kashkol gale mein kafni hai
ye rang bhi kuchh din mein badal jaega 'kaifi'
kyun ye nai-dehli sabab-e-dil-shikani hai
Nazm
Nai-dehli
Chandar Bhan Kaifi Delhwi