اردو हिंदी
Nai aastin | Shaahi Shayari
nai aastin

Nazm

Nai aastin

Shakeel Azmi

;

na mere zahr mein talKHi rahi wo pahli si
badan mein us ke bhi pahla sa zaiqa na raha

hamare bich jo rishte the sab tamam hue
bas ek rasm bachi hai shikasta pul ki tarah

kabhi-kabhaar jawab bhi hamein milati hai
magar ye rasm bhi ek roz TuT jaegi

ab us ka jism nae sanp ki talash mein hai
meri hawas bhi nai aastin DhunDhti hai