nahin mera aanchal mela hai
aur teri dastar ke sare pech abhi tak tikhe hain
kisi hawa ne in ko ab tak chhune ki jurat nahin ki hai
teri ujli peshani par
gae dinon ki koi ghaDi
pachhtawa ban ke nahin phuTi
aur mere mathe ki siyahi
tujh se aankh mila kar baat nahin kar sakti
achchhe laDke
mujhe na aise dekh
apne sare jugnu sare phul
sambhaal ke rakh le
phaTe hue aanchal se phul gir jate hain
aur jugnu
pahla mauqa pate hi uD jate hain
chahe oDhni se bahar ki dhup kitni hi kaDi ho!
Nazm
Nahin mera aanchal maila hai
Parveen Shakir