hai mizaj us waqt kuchh bigDa hua sayyaad ka
ai asiran-e-qafas mauqa nahin fariyaad ka
kitna dard-amez tha naghma dil-e-nashad ka
tir tarkash mein taDap uTTha sitam ijad ka
dastan-e-alam-e-furqat kisi se kya kahen
ho gaya barbaad har zarra dil-e-nashad ka
aap ko milna nahin manzur lo marta hun main
muntazir baiTha hua tha aap ke irshad ka
ai dil-e-nashad mujh ko teri wahshat dekh kar
yaad aa jata hai qissa qais aur farhad ka
aae wo bahr-ayaadat Dal kar ruKH par naqab
rah gaya arman dil mein aashiq-e-nashad ka
aap farmate hain tu ne raat ko nale kiye
banda-parwar 'auj' tu aadi nahin fariyaad ka
Nazm
Naghma-e-dil-e-soz
Raj Bahadur Saxena Auj