tera dhiyan liye main nagar nagar ghuma
sharik-e-haal thi teri nazar ki pahnai
ki aasman o samundar jaga diye jis ne
faza mein abr ke paikar bana diye jis ne
kabhi jo baiTh gaya main shajar ke sae mein
to mere chehre ko chhune lagin teri sansen
hazar baaten thin patton ke sarsarane mein
hazar lams the jis waqt jhuk gain shaKHen
dam-e-ghurub gaya bazm mein hasinon ki
bitaen saaten sohbat mein nazninon ki
har aaine se jhalakta tera gudaz badan
wo jhulte hue fanus tere aaweze
wo mauj-e-rang tera shabnami sa pairahan
tujhe pukaregi raaton ko meri tanhai
ye bhuk ruh ki ye ishtiha-e-be-aram
jo ek marg-e-musalsal hai ek soz-e-dawam
Nazm
Nagar nagar
Muneebur Rahman