lapakta surKH imkan
jo mujhe aainda ki
dahliz par la kar khaDa karne ki KHwahish mein
machalta hai
mere hathon ko chhu kar
mujh se kahta hai
tumhaari ungliyon mein
KHun kam kyun hai
tumhaare naKHunon mein zardiyan kis ne sajai hain
kalai se
nikalti haDDiyon par
un kam kyun hai
main us se
na-tawan si ek sada mein
puchhta hun
is se pahle tum kahan the
is se pahle bhi yahi sari zaminen thin
yahi sab aasman the
aur meri aankh mein
nile hare ke darmiyan
ek rang shayad aur bhi tha
ab mere andar na jhanko
mere baatin mein musalsal tairti hai unghti duniya sarabon ki
nafi sare hisabon ki
Nazm
Nafi sare hisabon ki
Rajinder Manchanda Bani