bad-KHwabi se bachne ke the kaise kaise nusKHe
bismillah
phir pahla kalima dusra kalima chaaron qul
aur dahni karwaT sona
nind to ab aati hai kam kam aur agar aa bhi jae to
KHwab kahan achchhe aate hain
gahra dariya Dubti naw TuTe pul ke ukhDe taKHte
raushan-dan pe kale shishe
diwaron par KHun ke chhinTe
aag dhuan bechain karahen
ek karwaT par sote sote
dahina ang be-jaan hua hai
ek ek kalima ek ek qul
kya jaane kitni bar paDha hai
ye bad-KHwabi kab jaegi
Nazm
Nae yug ka KHwab
Shahnaz Nabi

