kaamani KHwab ki lau mein hansti hui kaamani
sola baras ki taqwim mein fasl-e-gul ka koi tazkira
tak na tha
main ne battis battis jhaD ruten kaT din
ab jo tamsil ke ek waqfe mein tum se mila hun
to sanson mein nam chaal mein un zamanon ka rum
ji uTha hai
jo ahd-e-zamistan mein yaKH the
saqar sa saqar
kaamani KHanda-e-gul ki kul zindagi
ek gulchin ki wahshat bhari aankh hai
ye chaTakna ye khulna
bahut sehar-awar sahi jagne aur sone mein ek
KHwab-e-mauhum se kuchh ziyaada nahin
KHwab-o-KHwahish ajab silsila hai
bahut dur bahti hui aabshaaron ka ek silsila
jis mein koh-e-tazabzub ki KHushbu bhi hai
ahd-o-paiman ka jadu bhi
KHun se suron tak
suron se us ek lafz tak
jis mein ragon ka jauhar bandha hai
kahin aimani ras kahin marwa ThaTh bhageshiri
bhairwin aur pahaDi
wo sab kuchh jo apne lahu mein dahakta chahakta hai
jis ke tanazur mein hum bist-o-shash-sal
pahle bandhe the
unhi aabshaaron se mujh ko sada aa rahi hai
so main ja raha hun
nae sur uThane
ki sargam ki farsudgi dida-o-dil bujhane lagi hai
naya sur jise lafz tartib dete hain
pahunche to jaano ki sanea ke lafzon se uThti nami tum
tak aai
pas umr ka hasil fan jaise sarfa-e-jaan
kahin kuchh nahin
bisat-o-shash-sal dar KHidmat fan basar karda am
ba-chashm-e-nam auraq-e-tar karda am
dar faqiri guzar karda am
harf sar karda am
ye jo lafzon ki paighambari hai na hoti to ibrat
sara mein bhala kaun jita
main lafzon mein suskarta hun
suna tum ne sur
naghma-e-taza ka ye kitne qarnon se dil mein kisi
sil ki surat jama tha
ye ju-e-rawan tum tak aai magar kitne
KHurshid-o-mahtab aahang
bante hue bujh gae
kitne din gul hue
kitni raaten Dhalin
KHair kaisa hisab
aise naghmon mein KHun aur charaghon ke roghan ka ek
pursa kise dun
bhala koi aza-dar hai
pursa-daron ki tamsil mein koi waqfa nahin
Nazm
Nae sur ki tamsil
Akhtar Usman