phail rahi hai chaaron jaanib
nae samay ki sundar KHushbu
aane wale kal ki qismat
na main jaanun na jaane tu
sabza rangat titli jugnu
jaane kab se chamak rahe hain
peD ki har ek shaKH pe aansu
aur is peD ki ek Dali par
koyal karti jae ku ku
koyal karti jae ku ku
dekhti jae yunhi har su
waqt ko jate dekh rahi hai
aur ye baiThi soch rahi hai
guzre sal ne kya baKHsha hai
agle samay mein kya likkha hai
pichhle sal ke bashinde to
ab bhi sazaen kaT rahe hain
ek duje ke sog mein baiThe
apne lahu ko chaT rahe hain
dekhen agle sal mein kya ho
peD ki shaKHon par kya hoga
shabnam tare jugnu aansu
koyal baiThi soch rahi hai
waqt ko jate dekh rahi hai
koyal karti jae ku ku
Nazm
Nae samay ki koyal
Baqa Baluch