ruh-e-insan ki jawan tishna-labi ki KHatir
zang-alud tamannaon ki zanjir liye
phir sahar raat ke zindan se nikal aai hai
subh lai hai ujalon ka chhalakta hua jam
raat ki aankhon se Tapka hai sitaron ka lahu
tira-o-tar faza Dub gai hai KHud mein
dur suraj ki sulagti hui aahon se pare
meri har fikr ki har soch ki rahon se pare
dil ki aankhon se pare meri nigahon se pare
phir wahi fikr-e-safar fikr-e-talab fikr-e-zawal
phir wahi tez masail wahi KHunKHar sawal
phir siyah-posh tasawwur ka siyah-posh kamal
phir uThae hain tamannaon ne KHwabon ke kafan
phir wahi peT ke manus taqazon ki chubhan
phir lahu roti hai iflas ki madquq dulhan
ruh-e-insan ki jawan tishna-labi ki KHatir
zang-alud tamannaon ki zanjir liye
phir sahar raat ke zindan se nikal aai hai
Nazm
Nae sal ki subh
Sohan Rahi