اردو हिंदी
Nae nazariye ki taKHliq | Shaahi Shayari
nae nazariye ki taKHliq

Nazm

Nae nazariye ki taKHliq

Muzaffar Hanfi

;

kanch ki rangin TuTi chuDiyon ko
aaine ke tin TukDon mein

kisi bhi Dhang se rakh do
naya KHaka banega

jis mein ek tarkib hogi
lakh jhaTke dijiye

har bar ye tarkib ek tarkib-e-nau mein hi Dhalegi
jab bhi kuchh TuTe hue logon mein

apne tajrabaat-e-KHam ke qisse chhiDenge
ek nazariya janm lega