wo ab ke aae to sach un ke sath tha lekin
ajib tarah ka be-dard sach tha
kahte the tumhaara jhuT hai nanga yahi to ek sach hai
hum un se kah na sake
hamare izn pe jo qasr-o-baam ugata tha
wo jin hamein mein tha wo mar chuka hai hum lekin
jien to kaise jien
aur maren to kaise maren
ki tan-barahna paDe hain
na jaane kaun sa hai dasht samt hai na ufuq
bas ek manzar-e-be-rang-o-saut hai us ko
KHala kahen ki adam
wo hum se sadiyon purana charagh chhin gae
nae charagh purane charagh ke badle
wo kash ab ke bhi aisa fareb de jate
Nazm
Nae log
Aziz Qaisi