mehrban din wo mera dard-shanas
apni zambil ke sad-rang zaKHire se mujhe
roz deta raha saughat nai
mujh pe karta raha har roz inayat nai
dil ko barmata raha
KHun ko garmata raha
aai jis waqt magar raat nai
apna sarmaya sameTe hue mastur hua
dil mera faiz-e-gurezan se shikasta-KHatir
shab ke zindan mein giraftar
gharib-o-nadar
ek nae KHauf ke aazar se mamur hua
Nazm
Nae KHauf ka aazar
Akbar Hyderabadi