nadi ke haal ko
ab dekh kar afsos hota hai
nadi ka ek mazi tha
na jaane kitni tariKHi kitabon mein
nadi ki ahmiyat ke
an-ginat abwab raushan hain
nadi tahzib ka maskan rahi hai
isi ki mauj ne
aaghaz mein insan ko
waqif karaya
irtiqai marhalon se
isi ke saf aur shaffaf pani ne
yugon tak
muKHtalif naslon ki
dil se aabiyari ki
isi ki chiKHti chinghaDti lahron pe
ghalba pa ke insan ne
taraqqi ki
magar andhi taraqqi ne
nadi ki shakl
itni masKH kar Dali
ki aankhon ko kisi surat
yaqin aata nahin
jo kuchh nazar ke samne hai
wo haqiqat hai
gande badbu-dar nale ki tarah jo
bah rahi hai
yahi to wo nadi hai
tazkire jis ke kitabon mein bhare hain
kitni tahzibon ka jo maskan rahi hai
nadi ke haal ka jab jaeza
leti hain nazren
to bahut afsos hota hai
Nazm
Nadi ko dekh kar
Rashid Anwar Rashid