main nadi hun aur mujhe faKHr hai is baat ka ki main nadi hun
chalte rahna meri aadat hai
apne raste KHud banana aata hai mujhe aur achchha bhi lagta hai
main nahin chahti ki koi ek daera khinch ke bata de mujhe
ki ab ta-umr mujhe yahin rahna hai
ek chhoTa sa gol sa mahfuz daera
jahan na mujhe pattharon se Takrana hoga
na hi apne wajud ko qaem rakhne ke liye rose rose jang laDni hogi
mera wajud sirf pani se nahin bana
meri aazadi meri himmat aur mera junun
ye sab mil ke banate hain mujhe aur malum hai mujhe
ki har-pal har lamha
main us manzil ki taraf baDh rahi hun
jahan maut ko intizar hai mera
phir bhi main dhire nahin chalna chahti hun
balki lamha-dar-lamha meri raftar baDhti ja rahi hai
Nazm
Nadi
Geetanjali Rai