اردو हिंदी
Nadamat | Shaahi Shayari
nadamat

Nazm

Nadamat

Mohammad Afsar Sajid

;

hum jo ek jaan ke safar par hain rawan barson se
hum ko malum nahin kab aur kahan KHatm ho ye

hum to bas tishna-dahan lab-ba-dua kushta-e-gham
apne hone hi mein gum paDh na sake hain ab tak

waqt ke bab-e-nadamat mein nihan tahriren
un ko paDh lete to shayad na yun hairan hote

ek tamashe ki tarah waqt pe uryan hote
apni KHwahish ko sar-e-bazm na ruswa karte

apne lamhon ko kisi taur na zindan karte