main bhi anjaan tha
tum bhi anjaan the
log hairan the
ishq aasan tha
ishq aasan tha
us ki uftad mushkil
na thi is qadar
abr ki chhanw mein
yun chale ja rahe
the nae ham-safar
us ke aage magar
the ajab silsile
phir kaDe kos the
phir kaThin thi Dagar
dur tak be-karan
reg-e-sahra thi phaili hui
aisi aandhi chali
main bhi tha be-aman
tum bhi the dar-ba-dar
log the be-KHabar
ishq hairan tha
main kahin kho gaya
tum kahin ja base
phul khilte rahe
log milte rahe
par na mil pae hum
ai mere ham-safar phir na kahna kabhi
ishq aasan tha ishq aasan hai
waqt apne kiye par pasheman tha
kab pasheman hai
han wo apna KHuda jo nigahban tha
wo nigahban hai
Nazm
Nama-e-ishq hai KHuda ke nam
Khursheed Akbar