nam jab leta hun honTon par zaban ko pherta hun kyun ki
us ke nam mein us ki zaban us ke labon ka zaiqa hai
jab badan wo nam leta hai to aise jhunjhunata hai ki jaise
us ki zahri ungliyon ne chhu liya ho
nam us ka us ke apne bazuon ke daere ki tarah
shorida-badan ko gherta hai
nam us ka paniyon mein ghol kar pi lo zaban luknat-zada
ho jae hai, aankhen alag chaDh jaen hain, ji kuchh kahe
lab kuchh kahe hai,
nam us ka zanu-e-nakatKHadai par likhe se chhatiyon
mein dudh chhalkane lage hain
nam us ka siyahiyon mein gholne se sher la-fani likhe hai
nam banjar dhartiyon mein thoDa thoDa sa chhiDak dene se
har pal bel-buTe khinch de hai
nam us harjai ka lene se har sankal khule hai
us ko us ke nam se aawaz de dije to chaaron samt
jo koi sune hai us ke lakhon nam dohrane lage hai
aur kabhi us nam ke sunte hi andar se koi puchhe hai
kis ka nam lo ho
aur tab ehsas howe hai ki us ka ho ki apna ho
wahi ek nam to hai
aur tab ehsas howe hai wo hum mein hai ki us ka nam
hum hain
aur tab ehsas howe hai ki yusuf se zuleKHa sham se
radha ke hijje hi juda hain warna chaaron
ka tamasha ek sa hai
Nazm
Nam us ka
Bimal Krishn Ashk