ai mera nam o nasab puchhne wale sun le
mere ajdad ki qabron ke purane katbe
jin ki tahrir mah o sal ke fitnon ki naqib
jin ki bosida silen sim-zada shor-zada
aur aaseb zamane ki rahe jin ka nasib
pusht-dar-pusht bila fasl wo ajdad mere
apne aaqaon ki mansha thi mashiyyat un ki
gar wo zinda the to zindon mein wo shamil kab the
aur marne pe faqat bojh thi mayyat un ki
jin ko maktab se lagao tha na maqtal ki KHabar
jo na zalim the na zalim ke muqabil aae
jin ki masnad pe nazar thi na hi zindan ka safar
ai mera nam o nasab puchhne wale sun le
aise be-dam ghulamon ki nishani main hun
Nazm
Nam o nasab
Ali Akbar Natiq