sadr darwaze pe ek nam ka patthar hai abhi
lauh-e-marmar pe hai ye nam jali harfon mein
mere dada se hai ye nam jali harfon mein
ye haweli, ye sin-o-sal ki tamir qadam
is mein kuchh log raha karte the
aaj tak sae yahan un ke phira karte hain
dil ko har bar guman hota hai
mere man bap, mere bhai bahan
rauzanon se na kahin jhank rahe hon mujh ko
us se wabasta hain kitni baaten
shadiyan us mein rachai gain, shahnai baji
log ikaTThe hue pakwan lage
aur han us se janaze bhi uThe
dard-mandon ki, aza-daron ki
marne wale ke liye
aah-o-zari ki sadaen gaunjin
dur uftada laDakpan ki pukar
umr ki khoi hui rahon se
khinch lai hai mujhe
ek makDi ki tarah
Nazm
Nam ka patthar
Muneebur Rahman