main kaise bataun tum batao
kis tarah ye din guzar rahe hain
tauhin haqaraten tanaffur
kis kis se nibah kar raha hun
yun faiz-e-KHirad se bahra-war hun
har ek fareb-e-wahm taj ke
is raat ye sochne laga hun
main mo'taqid-e-panah hota
itna to na ru-siyah hota
shukr aur shikayaten duaen
mere liye koi aastana
tasir-dah-e-fughan nahin hai
juz jabr-e-nafas ye zindagani
tum ko to KHabar hai kuchh nahin hai
har rishta jahan ka iftira hai
har jhuT yahan ka haq-numa hai
tum ko to KHabar hai is jahan mein
dil ka koi aashna nahin hai
dil ka koi aasra nahin hai
ek tum the so tum bhi chhup gae ho
ab mera koi KHuda nahin hai!
Nazm
Nala-e-be-asman
Aziz Qaisi