اردو हिंदी
Nakaami | Shaahi Shayari
nakaami

Nazm

Nakaami

Sahir Ludhianvi

;

main ne har chand gham-e-ishq ko khona chaha
gham-e-ulfat gham-e-duniya mein samona chaha

wahi afsane meri samt rawan hain ab tak
wahi shoale mere sine mein nihan hain ab tak

wahi ba-sud KHalish hai mere sine mein hanuz
wahi bekar tamannaen jawan hain ab tak

wahi gesu meri raaton pe hain bikhre bikhre
wahi aanhken meri jaanib nigran hain ab tak

kasrat-e-gham bhi mere gham ka mudawa na hui
mere bechain KHayalon ko sukun mil na saka

dil ne duniya ke har ek dard ko apna to liya
muzmahil ruh ko andaz-e-junun mil na saka

meri taKHayyul ka shiraaza-e-barham hai wahi
mere bujhte hue ehsas ka aalam hai wahi

wahi be-jaan irade wahi be-rang sawal
wahi be-ruh kashakash wahi bechain KHayal

aah is kashmakash subh o masa ka anjam
main bhi nakaam meri sai amal bhi nakaam