log rubber-band ki tarah
hathon pe
chaDhae ja sakte hain
pahne ja sakte hain
pairon mein
kaghaz chhoTi chhoTi goliyon mein
tabdil kiye ja sakte hain
jinhen
jab chaho diwar pe de maro
un ko kuDe-dan mein phenka ja sakta hai
jale aur wahshat utari ja sakti hai kamron ki
itni bhayanak aur nokili hain
un ki aawazen
jo suraKH kar deti hain
diwar ke kanon mein
log apni lambi zabanon ka burada
bhar dete hain un suraKHon mein
jo tah-KHanon mein ja nikalte hain
tah-KHanon ke zinon par
kali satren hain
chiyunTiyon ki
aur makDi ki aali naslen
jo thuk se shamiyane bunti hain
makDi ke jale kali satren aur log
ek hi ghar mein rahte hain
lekin anjaan rahte hain
ek dusre ke namon se
is liye bahaal nahin ho pate
un ke sifarati talluqat
rakhi rah jati hain konon khudron mein
zehni ham-ahangi ki sari filen
aur log
rubber-band ki tarah un par
chaDh jate hain
Nazm
Nakaam muzakaraat
Sidra Sahar Imran