اردو हिंदी
Naf-piyala | Shaahi Shayari
naf-piyala

Nazm

Naf-piyala

Malik Ehsan

;

raat ek nile KHwab mein main ne
pani ki aamezish se

gundhe gae gandumi rang mein
apni mahbuba ke jaise

do nim-barhana jism hain dekhe
pahla KHushi ka

duja gham ka
surat qamat aur badan ke KHadd-o-KHal bhi ek jaise the

bas donon mein ek farq tha
gham ke jism mein paya main ne

ek gahra sa naf-piyala