zardar namazi id ke din kapDon mein chamakte jate hain
nadar musalman masjid mein jate bhi hui sharmate hain
malbus pareshan dil ghamgin iflas ke nashtar khate hain
masjid ke farishte insan ko insan se kamtar pate hain
quran se dhuan sa uThta hai iman ka sar jhuk jata hai
tasbih se uThte hain shoale sajdon ko pasina aata hai
wo wasta jis ko faqon roze roze be-bechaara kya rakkhe
din dekh chuka shab dekh chuka qismat ka sahaara kya rakhe
KHali hon lahu se jis ki ragen wo dil ka sharara kya rakkhe
iman ki lazzat din ka bharam iflas ka mara kya rakkhe
tarik dikhai deti hai duniya ye mah-o-KHurshid use
rozi ka sahaara ho jis din wo rose hai roz-e-id use
ek madar-e-muflis id ke din bachchon ko liye bahlati hai
sar un ka kabhi sahlati hai narmi se kabhi samjhati hai
qismat pe kabhi jhunjhlati hai jine se kabhi tang aati hai
zardar paDosan KHush ho kar sab dekhti hai aur khati hai
paise ka pujari duniyan mein sach puchho to insan ho na saka
daulat kabhi iman la na saki sarmaya musalman ho na saka
nau-KHez dulhan aur id ka din kapDon se numayan bad-hali
kumhlae hue se ghunche-tar murjhai hui si hariyali
sukha hua chehra ghurbat se utri hui honTon ki lali
mayus nazar TuTa hua dil aur hath bhi paise se KHali
shauhar ki nazar hasrat se bhari uThti hai to KHud jhuk jati hai
ehsas-e-mohabbat ki duniyan us manzar se tharraati hai
KHun chus raha hai paudon ka ek phul jo KHandan hota hai
pamal bana kar sabzon ko ek sarw KHarama hota hai
charbi mil kar insanon ki ek chehra daraKHshan hota hai
ye id ke jalwe bante hain jab KHun-e-ghariban hota hai
muflis ki jawani id ke din jab subh se aahen bharti hai
duniya ye amiron ki duniya tab id ki KHushiyan karti hai
Nazm
Nadaron ki id
Nushur Wahidi