tum jo maghrib ki jugali se kabhi thakte nahin
tum ko kya malum hai taKHliq ka jauhar kahan
falsafi bante ho apne aap se puchho kabhi
kho gaya hai ruh ka gauhar kahan
tum dil-o-jaan se mashriq ki parastari karo
kya barahman ke siwa kuchh aur ho
kya kisi ki mashriq-o-maghrib mein dildari hui
bhuk se behaal hain jo un ki gham-KHwari hui
adl ki mizan jab TuTi paDi ho darmiyan
zindagi sari ki sari hi riya-kari hui
maghrib-o-mashriq ki sari bahs mein tum na-umidi ke siwa kya de sake
na-umidi kufr hai
kufr se bachte bhi aur kufr hi karte ho tum
tum to mazi haal o mustaqbil ke bhi qail nahin
dil kahe kuchh bhi magar tum is taraf mail nahin
wo jo mutlaq hai tumhaare waste sare zamane de gaya
tum batao tum ne ab tak kya kiya
na-umidi kufr hai kufr hi karte ho tum
dil mein gar raushan ho us din ki ummid
justuju tum ko jab apne aap se milwaegi
zindagi karne ko pyare shash-jihat khul jaegi
Nazm
Na-umidi kufr hai
Anjum Azmi