aur ab meri monchhen purane sweater ki udhDi hui safed un 
pile kaghaz mein rakkhi siyah film aur thuk-Dibiya mein band 
teri man ke ghane baal 
jinhen chumte chumte main ne raaten teri soch mein 
aainon jaise baramdon ki munaqqat safedi pe mal den 
jahan bain manDla rahe the 
jahan qahr ki subh aate hi sare Stethoscope 
sanp ban jaenge 
aur bad-atwar narson ki aankhon ke suraKH 
kiDe makoDon ki aamaj-gah 
mere na-tawan dosh par shaal 
aur tu shamshad-qad aahani jism sine mein 
ajdad ka ilm maujon ka shor 
daba kar mere kandhe aur man ke pair 
mathe ka bosa ki jannat ke phulon ka ras 
kuchh raqam de ke buDhe muhafiz ko main ne kaha tha ki ye ghas to 
saf kar do 
kahin qabr nannhi si chhup hi na jae
        Nazm
Na-tawan dosh par shaal
Mohammad Izhar ul Haq

