ye samundar kai bar uchhla hai
har bar
maujon ne dur
un buland aur baala
chaTTanon ke us par jaane ki KHwahish mein
justen lagai hain
is tarah uchhli hain
jaise udhar ki faza
jo abhi tak rasai se bahar thi
ab dam-e-nazara mein aa chuki hai
magar in chaTTanon se us par ki wusaten
ab bhi nadida hain
aaj bhi
wo jo diwar ki dusri samt mein hai
mere lafz ki zad se
bahar se shayad
Nazm
Na-rasai
Alimullah Hali