nuzhat-e-sham ne jab raKHt-e-safar bandh liya
dard ne ruh ko bedari ka paigham diya
aah nasur-e-wafa
ghar se hum ishrat-e-azad ke shaida nikle
ho ke jaan-sozi tanhai se paspa nikle
le kar apne dil-e-bimar ko tanha nikle
soch rakkha tha ki ab yun use bahlaenge
raqs mein mai mein kisi saz mein kho jaenge
hosh se aaj to mahrum se ho jaenge
taki ho jins-e-tamanna ke fusun se chhuTe
maslahat kosh bane qaid-e-junun se chhuTe
sar se dil-dari-e-azad ka sauda nikle
dard miT jae teri yaad ka kanTa nikle
lekin is shumi-e-taqdir ka kya ho shikwa
sar hi jab naz-gah-e-war se uncha nikle
Nazm
Na-rasai
Arsh Siddiqui