اردو हिंदी
Na-rasa | Shaahi Shayari
na-rasa

Nazm

Na-rasa

Adil Hayat

;

mujhe barbaad karne mein
maza aaya to kuchh hoga

siyahi pot di taqdir par
la kar mujhe tarikiyon ke ghaar mein chhoDa

jahan main sath ek ek sans ke
maqdur-bhar koshish kiye jata hun lekin

mujhe milti nahin hai rah jis par
main qadam aage baDhaun

apne hisse ki
wo chizen chhin lun

jin ko
chhupa kar meri aankhon se

mere hi waste rakkha gaya hai